HAPPY NEW YEAR
kaisey kahoo mein happy new year
sardi , garmi ho yaa barsaat
prakruti ke tattavo ki dekho ye mukkalaat
kaheen junglee aag jalati hae
kaheen sardi sarir galati hae
sheetal jal bhi bana sunami ka fear
pheer kaise kahoo mein happy new year.
khalash huye sab riste naate
raxak bhee bhaxak ban jaate
mumbai ho ya Rajasthan
sab jag gaatha ek samaan
raham dil ab har dil se ho gaya disappear
phir kaise kahoo, happy new year.
mrigtrishna jaise man batakta manav ka
jungle raaj jaisa aachran karta danav saa
ichchaa kabhee achcha banane nahee deti
ek kadam aage to, chaar kadam pichhe kar deti
bhoga na bhukta vayamev bhukta kahte hain seer
pheer kaise kahoo , happy new year.